fauj e sitam ko chod ke suye shah e huda
dekho hurr aa raha hai
pyase ke paas pyaas wo apni bujhayega
dekho hurr aa raha hai
pehnega thodi dayr mein wo khoon bhara kafan
aankhon pe pattiyan hai to haathon mein hai rasan
mujrim ki tarha soorate qaidi bana hua
dekho hurr aa raha hai
fauj e sitam ko chod ke...
maula meri khata'on ko kar dijiye bihil
bete ke saath aata hai sharminda o khajil
lene ko us ke shaah ka akbar bhi jayega
dekho hurr aa raha hai
fauj e sitam ko chod ke...
rote huwe wo qadmon se sheh ke lipat gaya
bola khata maaf ho ay sibte mustafa
shah ne utha ke usko galay se laga liya
dekho hurr aa raha hai
fauj e sitam ko chod ke...
fizza se ro ke kehne lage khwahar e imam
is taazah mehman ko hamara kaho salam
binte al? ke qaime mein pahunchi jo ye sada
dekho hurr aa raha hai
fauj e sitam ko chod ke...
hurr e jari ke lene ko badne lage hussain
abbas se ye kehne lage shaah e mashraqain
bhaiya hamari fatha ka aelaan ho gaya
dekho hurr aa raha hai
fauj e sitam ko chod ke...
pehle jo ibne hurr gaya aur qatl ho gaya
laasha uthaane sheh bhi chale hurr ke hamnawa
fauje adoo ne haste huwe shor ye kiya
dekho hurr aa raha hai
fauj e sitam ko chod ke...
laasha utha ke sheh chale suye qaimagah
hurr ka kamar pe haath tha aur thi labon pe aah
maqtal mein goonjti thi kisi bibi ki sada
dekho hurr aa raha hai
fauj e sitam ko chod ke...
bete ke baad hurr ne bhi izne wigah liya
jangal se jaise sher ne wo hamla kar diya
thi al'amaan ke shor mein dushman ki ye sada
dekho hurr aa raha hai
fauj e sitam ko chod ke...
hurr ki jabeen pe baandha jo rumaal e fatema
shabbir ne ay majid o mukhtar di nida
amma tumhare bete ka shedayi mar gaya
dekho hurr aa raha hai
fauj e sitam ko chod ke...