dekho maula ali sabhi ka hai
saaf farmaan ye nabi ka hai
dekho maula ali sabhi ka hai
rang aur nasl aur zuban kya hai
behrobar uar aasman kya hai
chand kya cheez kehkashan kya hai
roshni sab ali se paate hai
faisla khud ye roshni ka hai
dekho maula ali...
kya arab kya ajam ki wus'at hai
inki charon taraf hukumat hai
zikr inka badi ibaadat hai
pad ke naad e ali nabi ne kaha
naam mushkil kusha isi ka hai
dekho maula ali...
rab ne shamsheer di nabi ne alam
rakhe dosh e nabi pe kis ne qadam
tode kaabe mein jaa ke kis ne sanam
palta hai kis ke hukm se suraj
maujiza aur kya kisi ka hai
dekho maula ali...
aeliya ya bul hassan ali maula
murtuza bu turab aur aaqa
sher e yazdan nussairiyon ka khuda
itne ausaaf ksi ne paaye hai
kis ka har kaam bandagi ka hai
dekho maula ali...
kis ne goondha khameer e adam ko
bante dekha hai kis ne aalam ko
kis ne paida kiya hai mausam ko
nehje asraar padh ke dekho to
kaam ye sab ka sab ali ka hai
dekho maula ali...
chauda sadiyon se kis ka matam hai
kis se mansoob ye moharram hai
kis ke gham mein harr aankh pur nam hai
kis ne quran sunaya naize par
haan ye farzand bhi ali ka hai
dekho maula ali...
kis ne sajde mein zarb khaayi hai
innama kis ke haq mein aayi hai
hal ataa kya payaam laayi hai
fuzto be rabbe kaaba ksi ne kaha
kaun manshoor zindagi ka hai
dekho maula ali...
karbala mein luta hai kis ka ghar
kis ke bete ka sar tha naize par
kis ki beti ki chin gayi chadar
kis ke bachon ki pyaas par ab tak
nauha darya pe tashangi ka hai
dekho maula ali...
kis ke pothe ke paon mein zanjeer
daali aada ne haye be taqseer
betiyan kis ki hogayi thi aseer
baazu kis ke pisar ke kaate gaye
sisila kyun ye dushmani ka hai
dekho maula ali...
wo sakina wo dukhtare shabbir
jiska daada ho khud janabe ameer
jaari kaano se uske khoon ki lakheer
jisko mar ke rehaai mil na saki
marte dam naara ye usi ka hai
dekho maula ali...
ye jo farhan ashk o girya hai
majlis e gham mein ye jo nauha hai
iska mehwar to ek pyaasa hai
kyun na rehaan ka qalam bole
farshe gham naam bandagi hai
dekho maula ali...