shehzadi laila shehzadi zehra
shehzadi zainab salaam
kehta hai ye dashte sitam kehte hai sab ahle qalam
jumle ki ye rawani nahi alfaaz aur maani nahi
bas teen hi maayein hai ye jin ka koi saani nahi
ek akbar ki maa ek zainab ki maa
ek aun o mohamed ki maa
maa ki fitrat se hat kar diye imtehan
inke eesaar pe sadqe dono jahan
kar gayi haq pe qurban rifl o jawan
ek akbar ki maa...
haadson se bachaati hai bacchon ko maa
maa ka aanchal hai aulaad ka sayeban
haan magar is rawish par chali hai kahan
ek akbar ki maa...
ro ke aun o mohamed se maa ne kaha
apne mamu pe hona hai tumko fida
kar ke beton ko qurban thi shadman
ek akbar ki maa...
chand laila ka tha hum shabihe nabi
uske laashe pe khud maut rone lagi
kaisi bemisl maayein hai rabb e jahan
ek akbar ki maa...
apne baalon se khud fatema nauhagar
jhaadne aa gayi qatl gaahe pisar
inko rab ne chuna hai pare imtehan
ek akbar ki maa...
umme farwa rubab aur bano ka gham
karbala ki sabhi maayein hai mohtaram
haan magar inka saani milega kahan
ek akbar ki maa...
khatm mazhar ne safdar kiya yun kalaam
karbala ki sabhi bibiyon ko salaam
bibiyon ki nigahon mein thi sayeban
ek akbar ki maa...