Ek Ali a.s Ki Laadli Thi Ek Ali a.s Ka Laal Tha
Badke Mehzar Jab Madine Se Chala Wo Khaafila
Qasim O Abbas O Akbar Aur Sibte Mustufa
Saath Me Zainab Sakina Aur Roohe Fatima
Sayyad E Sajjad O Asghar Saath Sughra Ki Dua
Khaafila Tha Ek Lekin Do The Rooh E Qaafila
Ek Ali Ki Laadli Thi Ek Ali Ka Laal Tha
Haaye Wo Kis Shaan Se Nikle The Suve Karbala
Saath Abbas E Jari Qabze Me Teghe Murtuza
Markaze Tazeem Thi Do Hastiya Har Ek Ka
Apne Beto Ko Fida Bhai Pe Zainab Ne Kiya
Bhai Marke Bhi Na Zainab Se Huwa Ek Pal Juda
Sar barehna Wo Chali Wo Par Sare Naiza Chala
Sar Diya Bhai Ne Chadar Di Bahan Ne Deen Ko
Na Behan Aisi Na Aisa Bhai Hoga Momino
Jisne Sar Uncha Kiya Hai Baani-E-Islam Ka
Sar barehna Thi Behan To Bhai Bhi Tha Be-Kafan
Bhai Ke Bazu Juda Behna Ke Bazu Me Rasan
Tar Kiya Dono Ne Milkar Karbala Ka Maareka
Bhai Ne Cheh Maah Ke Bache Ki Mayyat Gaad Kar
Ek Nayi Tareeq Likhi Karbala Ki Khaakh Par
Shukr Ka Sajda Jawa'n bete Ke Marne Par Kiya
Thi Rasan Basta Behan Lekin Jalalat Allama
Khutbaye Zainab Se Larza'n The Zameen o Aasma'n
Rakh Diya Thaqta Palat Ke Jisne Mulk E Shaam Ka
Bhai qaak O qoo'n Me Ghalta'n Aur Zindaani Behan
Aabroo-E-Mustufa Ek Aabroo-E-Panjatan
Daudta Tha Jism Me Dono Ke Sheere Sayyeda
Tasht Me Bhai Ka Sar Zainab Bhare Darbaar Me
Koi Bhi Insaa'n Nahi Tha Lashkar E Kuffar Me
Khaak Madfan Me Udaate The Nabi E Do Sara
Aaj Tak Qayam Hai Jinke Dam Se Deene Mustufa
Naam Jinka Shaamil E Juzu E Ibaadat Hogaya
Khud Siyane Arsh Ki Rehaan Aati Hai Sada
Ek Ali a.s Ki Laadli