Kanz e Aza

Ek Bachi Gham ki

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Akhtar Sirsvi. Lyrics in Roman Urdu.

haye haye haye sakina

ek bachi gham ki maari aur raat karbala ki

kano se khoon jaari aur raat karbala ki


teeron se hogaya hai chalni pidar ka seena

neendh aa rahi hai isko awaaz de sakina

laashe pade hai saare aur raat karbala ki

haye haye haye sakina

ek bachi gham ki...


jangal mein hurr ki bewa aayi hai leke pani

yaad aa rahi hai apne kunbe ki mezbani

ehsaas sharm saari aur raat karbala ki

haye haye haye sakina

ek bachi gham ki...


bachi ki bekasi ka ye imtehan kada hai

baba ka jism khoon mein dooba hua pada hai

har lamha dil pa waari aur raat karbala ki

haye haye haye sakina

ek bachi gham ki...


meinoosiyon ka saaya badta hi jaa raha hai

kya kya khayal dil mein dukhiya ke aa raha hai

honton pa aah o zaari aur raat karbala ki

haye haye haye sakina

ek bachi gham ki...


sehmi hui hai bachi aur jal rahe hai qaime

koi nahi jo aake jangal mein hal banaye

abid pa ghash hai taari aur raat karbala ki

haye haye haye sakina

ek bachi gham ki...


nanhe se dil ke upar gham ka pahad toota

maare gaye baradar baba ka saath choota

sehra hai bekharari aur raat karbala ki

haye haye haye sakina

ek bachi gham ki...


ban mein dukha hua dil phir se dukha rahi hai

zainab ke dil ke upar khanjar chala rahi hai

aati hui sawari aur raat karbala ki

haye haye haye sakina

ek bachi gham ki...


ek waqt mein akeli kis kis ke paas jaye

kis kis ko de tasalli kis kis ka dil badhaye

kunbe ki zimmedari aur raat karbala ki

haye haye haye sakina

ek bachi gham ki...


zainab utho sakina jangal mein kho gayi hai

seene pe jaa ke shayad baba ke so gayi hai

hai imtehan bhaari aur raat karbala ki

haye haye haye sakina

ek bachi gham ki...


kar kar ke yaad akhtar aansu bahayega dil

irfan ye bata de kaise bhulayega dil

ek maa ki ashk baari aur raat karbala ki

haye haye haye sakina

ek bachi gham ki...