haye ibne hassan pe kya guzri
laashe qasim ke hogaye tukde
ek shab ki dulhan pe kya guzri
ghar se nikla tha baand kar sehra
jagmagaya tha chand sa mukhda
do ghadi mein khushi ne moo moda
zindagi ne diya ajab dhoka
ran mein ghodon se hogaya pamaal
phool jaise badan pe kya guzri
haye ibne hassan pe...
sheh ki peeri hai uljhano mein aseer
aur kya kya dikhayegi taqdeer
pahunche jis waqt dasht mein shabbir
tukde tukde thi bhai ki tasveer
dekh kar laash ko bhatije ki
qalbe shaahe zaman pe kya guzri
haye ibne hassan pe...
chand khushiyan thi gham ki tamheedein
jaise barbadiyon ki taakidein
hogayi khoon maa ki ummedein
chaand jab chup gaya kya eidein
lut gaya ghareeb maa ka jahan
maamta ke chaman pa kya guzri
haye ibne hassan pe...
kab thi taqdeer ek yateem ke saath
surkh sehra tha zulm ki saughaat
ek musafir ki yun chadi baraat
raas aayi na dasht mein ek raat
aake apne watan se koson door
ek ghareebul watan pa kya guzri
haye ibne hassan pe...
jism e qasim ke tukde hote hai
maa tadapti hai chain khoti hai
laash pa bain kar ke roti hai
aisi shadi bhi koi hoti hai
bujh gaye maa ke hasraton ke charagh
ek bewa ke man pe kya guzri
haye ibne hassan pe...
ek behen jo watan mein thi teri
yaad aayi na kyun tujhe uski
tere haathon mein rakhi hai mehendi
usne khwabon mein dekhli shadi
tujhko sehra mein kya khabar qasim
teri sughra behen pe kya guzri
haye ibne hassan pe...
wo masayeb huwe raqam akhtar
bas tadapne laga qalam akhtar
reh gaya fikr ka bharam akhtar
hogayi sab ki aankh nam akhtar
pursa irfan de ke qasim ka
kya khabar anjuman pe kya guzri
haye ibne hassan pe...