dil se ghame hussain na ho kam khuda kare
le jaaun mai lehad mein yehi gham khuda kare
hubbe ali ho dil mein zaban par ho ya hussain
jab waqte nazha nikle mera dam khuda kare
dil se ghame hussain...
thokar lage to aaye zaban par ali ka naam
har gham mein ho hussain ka matam khuda kare
dil se ghame hussain...
seene pe daagh matame shabbir ka rahe
daaman ho ashke gham se sada nam khuda kare
dil se ghame hussain...
phaile nishane hazrat abbas ki ziya
saare jahan pe chaaye ye parcham khuda kare
dil se ghame hussain...
har dukh mein yaad aaye shaheedan e karbala
har zakhme dil ka ho yehi marham khuda kare
dil se ghame hussain...
dar dar ke keh rahe thay ye aapas mein sab layeen
abbas ho na nehr pe barham khuda kare
dil se ghame hussain...
faujein adoo ki aati thi zainab ye kehti thi
aa jaaye koi shimr ka bhi kaam khuda kare
dil se ghame hussain...
akbar ne sheh ke saamne toda tha jaise dam
koi pidar na dekhe ye aalam khuda kare
dil se ghame hussain...
qaime mein kar rahi thi sakina yehi dua
aa jaaye khairiyat se mere amm khuda kare
dil se ghame hussain...
akbar palat ke aaye ye sughra ki thi dua
phir bhai aur behen mile baaham khuda kare
dil se ghame hussain...
sheh bole lab pe ye bakhshishe ummat ki ho dua
khanjar rawan ho halq pe jis dam khuda kare
dil se ghame hussain...
ye keh ke khatm kar do mujahid kalaam ko
badta rahe hussain ka matam khuda kare
dil se ghame hussain...