Kanz e Aza

Dare Najaf se

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Saleem Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

dare najaf se hatunga na sange dar ki tarha

isi sadaf mein rahunga sada gohar ki tarha

dare najaf se…


wegha mein hazrate abbas thay pidar ki tarha

jabeen se ghaiz tapakta ba sher e nar ki tarha

dare najaf se…


chamakte arsh ke taare thay sab bani hashim

aur unmein hazrate abbas thay qamar ki tarha

dare najaf se…


juda huwe shabe meraj kab nabi o ali

baham thay arshe bari par dil o jigar ki tarha

dare najaf se…


salami kheemate ashke aza e shah na pooch

bikega hashr ke bazaar mein gohar ki tarha

dare najaf se…


jawan pisar ke kaleje se khaynch'li barchi

hussain kisme hai himmat tere jigar ki tarha

dare najaf se…


bala ke dasht mein uryan padi hai laashe hussain

dayare shaam mein saydaniyo ke sar ki tarha

dare najaf se…


chaman kisi ka ho taraaj yun khuda na kare

kisi ka ghar na lutay fathima ke ghar ki tarha

dare najaf se…