Hai jin kay dam se jahan ki ronaq , Jahan ka mosam bhi hai suhana
Darood un par salam un par Mere nabi ka jo hai gharana (x1)
Maqam e Mehboob e Kibriya ki, Nahin hai wussat mere bayan main
Rehman Khud ka raha hai Sallu, Alla ka har waqt yeh tarana
Darood un par salam un par Mere nabi ka jo hai gharana (x1)
Bana kay Tasweer Murtaza ki, kaha yeh jibreel se Khuda ne
Rahay na koi kami kahi par, Luta do sub hussn ka Khazana
Darood un par salam un par Mere nabi ka jo hai gharana (x1)
Kaneez e Khaliq Janab e Zehra, Jin k dum se haya jahan main
Zuban kholain to ayatain ho, rukay to Tatheer ka fasana
Darood un par salam un par Mere nabi ka jo hai gharana (x1)
Hassan jahan ka ameer aisa, hayat jibreel sa farishta
Bahisht Jageer mujtaba ki, Hai jis main Panjtan ka ana jan
Darood un par salam un par Mere nabi ka jo hai gharana (x1)
Hussain sabr o shukar ki manzil, Hussain waris e Anbiya hain
Hussain azmat do jahan hai, jissay na bhoolay ga yeh zaman
Darood un par salam un par Mere nabi ka jo hai gharana (x1)
Aie mere parwardigar hum ko, dikha day karb o bala ki nagri
Jaha pay imran aur anjum, ada krain soz panjagana
Darood un par salam un par Mere nabi ka jo hai gharana (x1)