darya kanare teri aal pyasi
ghar ko luta ke pardes aa ke
shaahe madina jangal basa ke
darya kanare teri aal pyasi
aankhon mein aansu sau zakhm dil par
baithe hai bache jalti zameen par
kuch khaali kooze dil se laga kar
sote hai pyase jalti zameen par
sab zakhm khaake karbobala ke
darya kanare...
kitne masayib jhele hai dil par
zainab ne dekhe pur dard manzar
akbar ka laasha qasim ke tukde
abbas ka laasha bhai pe khanjar
laashe utha ke maqtal saja ke
darya kanare...
dashte bala mein tanha haram hai
pardesiyon par laakhon sitam hai
ummat ne aisi ki hai jafayein
sab ke saron se cheeni ridayein
ummat se paa ke sadme rida ke
darya kanare...
kaise kafan de bhai ko zainab
jakde huwe hai shaane rasan se
ahle haram sab kehte hai ro kar
ye dard paaye aa kar watan se
sab kuch luta ke roti hai jaa ke
darya kanare...
har gham to apne dil se laga kar
roti hai ban mein bali sakina
ammu na aaye baba na aaye
mai kya karoo ay shaahe madina
is dil pe khaake naawak jafa ke
darya kanare...
waada nibhane deen ko bachane
jangal mein aulaad teri
dene khuda par jaanein luta ne
maqtal mein aayi aulaad teri
waada nibha ke deen ko bacha ke
darya kanare...
quran e gham ki karke tilawat
rota hai safdar nauhe suna kar
mera qalam bhi khoon raha hai
likhte huwe ye pur dard manzar
gham karbala ke dil mein basa ke
darya kanare...