Kanz e Aza

Dare Zindan Pe

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Aijaz Rizvi. Lyrics in Roman Urdu.

dare zindan pe sakina yehi karti thi buka

shaam hone ko hai ab laut ke aao baba


tang hai shaam ka zindan andhera hai bahot

hai nahi aap to ab khaak bichona hai sada

dare zindan pe...


takti rehti hoo parindo ko basad hasrat o yas

kya watan jaungi is qaid se chutkar mai bhala

dare zindan pe...


dekh kar haalate sajjad wo roke kehti

haye bemaar mere bhai pe hai kaisi jafa

dare zindan pe...


yaad aajate jo asghar kabhi akbar usko

bhai aajao yahan ro ro wo deti thi sada

dare zindan pe...


maa ki aagosh mein kis tarha usay neendh aaye

baap ke seene pe soti rahi bachi jo sada


kis tarha dil ko mai behlaun ghuta jaata hai dam

hai na nanhe mere saathi hai na ammu baba

dare zindan pe...


iska daaman bhi jala kaano se durr cheen liye

pusht par neele thay aur kaano mein bhi khoon tha jama

dare zindan pe...


rote rote yuhin ek shab jo zara aankh lagi

chaunk kar uthi sakina yehi madar se kaha

dare zindan pe...


shor ye sunke utha neendh se badaqt yazeed

bola zindan mein lejao sare shaahe huda


sab ne bad bad ke salaami shahe mazloom ko di

godh mein leke sare shaah sakina ne kaha

dare zindan pe...


aap ke baad mujhe shimr ne maare durre

baad baba tere kya kya na sitam humne saha

dare zindan pe...


wo mujhe lene ko aaye hai mai sadqe unke

baba ke saath mai jaungi hui poori dua

dare zindan pe...


bolte bolte khamosh hui jab bibi

roke bano ne kaha dekho to sajjad zara

dare zindan pe...


kya hua baat nahi karti hai mazloom meri

paas abid jo gaye dekha ke sadma hai naya

dare zindan pe...


hatkadi pehne hue khodi lehad abid ne

khoon bhara kurta kafan bangaya shehzadi ka

dare zindan pe...


nauha aijaz o hasan ka ye padha ahsan ne

aap bulwaiye rauze pe kare izn ata

dare zindan pe...