abbas mere bhai
chale ho kis pe shahe deen ko chod kar abbas
qadam qadam pe rahe saath umr bhar abbas
chale ho kis pe shahe deen ko chod kar abbas
ye jaante ho sakina ka haal kya hoga
palat ke aaye na darya se tum agar abbas
chale ho kis pe...
koi hai nauha kuna aur koi tadapta hai
bana hai dard ki tasweer ghar ka ghar abbas
chale ho kis pe...
na jaane kya hua saakit hai bolti hi nahi
palat ke dekhlo zainab ko ek nazar abbas
chale ho kis pe...
khabar na hogi tumhe tum to so rahe honge
jab hogi zainab e dilgeer dar badar abbas
chale ho kis pe...
gaye jo tum suye maqtal zuban se kuch na kaha
khade na reh sake sibte nabi magar abbas
chale ho kis pe...
raha na ek bhi suraj hussain ke ghar mein
na hogi shaam e ghariban ki ab sahar abbas
chale ho kis pe...
tumhare baad jo hona tha wo hua aakhir
hussain mar gaye zainab hai nange sar abbas
chale ho kis pe...
wafa shiyaron mein hashim ka naam aajaye
bas ek nazre karam mujhpe ho agar abbas
chale ho kis pe...