chala ran ko tera baba sakina
quda hafiz hai ab tera sakina
na akbar hai na abbase dilawar
na hai auno mohammad aur na asghar
sare maqtal hu mai tanha sakina
chacha jo naaz uthata tha tumhare
wo jakar sogaya darya kanare
tujhe ab chod kar tanha sakina
sitamgar ayenge qaime jalane
chalenge tujh pe beti taziyane
milega yu'n tujhe pursa sakina
koi ab tujhko behlaye to kaise
meri beti ko neend aaye to kaise
na hoga ab mera seena sakina
mai waqif hu tu khayegi tamache
tere ruqsar ho jayenge neele
dilasa koun ab dega sakina
sitam zalim bohat dhayenge bibi
palat kar ham na ab aaenge bibi
sada humko na ab dena sakina
yateemi taaziyanou ki azeeyat
musibat ka safar har pal qayamat
ye sab kuch hai tujhe sehna sakina
tere kaanou se chin jaayenge gouhar
bohat rulwayenge tujh ko sitamgar
musalsal sabr hai karna sakina
rahegi hamsafar tashna dahani
na de paaya tujhe ek boondh paani
tera baba hai sharminda sakina