Ghaibat Se Chale Aao Ansaar Bulate Hain
mazloom Ke Bekas Keghamkhar Bulate Hain
1.ankhou'n Me Chamakti Yeh Ummeed Ki Shabnam Hai aur Aapki Furqat Ka Har Qalb Me Matam Hai
palkou'n Pe Ruke Aansu Sarkaar Bulate Hain
2. Gham Karb-0-bala Ka Hai Seenou'n Me Abhi Taaza
badla Hai Abhi Baaqi Khoone Shah-e-bekas Ka
tum Ko Yeh Aza Khane Har Baar Bulate Hain
3.jo Haal Diloun Ka Hai Ham Kisse Kahe'n Moula
batlao Kahan Jakar Faryaad Kare Moula
jo Aapke Shia Hain Khuddaar Bulate Hain
4.bheja Tha Kabhi Sheh Ne Shiyou'n Ko Salaam Apna
hum Yaad Usay Karke Rote Hain Bohat Moula
ehsaas Ka Hum Karke Izhaar Bulate Hain
5. Pur Zulm-o-sitam Se Ab Duniya Yeh Huvi Moula
mazloomou'n Kaab Koi Hamdard Nahi Aaqa
yeh Aapki Aamad Ke Aasaar Bulate Hain
6. Hai Dhoop Me Zehra Ki Turbat Pe Nahi Saaya
tameer-e-baqi Ka Phir Rakhna Hai Tumhe Paaya
hum Log Tumhe Haq Me Memaar Bulate Hain
7.us Jung Se Ab Thande Yeh Qalb-o-jigar Honge
aye Muntaqim-e-karbal Tum Aao Toh Sar Honge
jo Mareka-e-haq Hai Dushwar Bulate Hain
8.kyun Khoon Ke Aansu Tum Tanhayi Me Rote Ho
ab Izn-e-khuda Lekar Maidaan Me Aajao
gham Karb-0-bala Ke Phir Ek Baar Bulate Hain
9.jo Aapke Aane Ki Sharte'n Thi Huvi Poori
moula Hame Batlado Phir Kisliye Yeh Doori
jo Jazba-e-sadeq Hai Me'aar Bulate Hain