Kanz e Aza

Ghame hussain Manana Bohat Zaroori Hai

A noha recited by Anjuman e Masoomeen. Lyrics in Roman Urdu.

Ghame hussain Manana Bohat Zaroori Hai

hussaini Shamma Jalana Bohat Zaroori Hai

1. Yeh Woh Hussain Hai Jo Fakhr-e1bn-e-aadam Hai ke Jis Ke Zer-e-qadam Rif'at-e-do'aalam Hai

usi Hussain Ke Gham Me Yeh Shor-e-matam Hai

yeh Baat Sab Ko Batana Bohat Zaroori Hai


2. Woh Jis Me Asghar-e-masoom Ka Tabassum Hai

woh Jis Me Aag Ka Sailaab Hai Talaatum Hai

woh Jis Me Aakhri Shabbir Ki Sad Gum Hai

woh Baat Sab Ko Sunana Bohat Zaroori Hai


3. Woh Jisne Deen Bachaya Hai Karbala Aakar

woh Jisne Aakhri Sajda Kiya Tah-e-khanjar

woh Jiske Dar Pe Farishte Jhuka Rahe Hain Sar

sar Unke Dar Pe Jhukana Bohat Zaroori Hai


4. Woh Bhoook-o-pyaas Woh Barchi Woh Seena-e-akbar

woh Mashk Aur Woh Baazu Kate Jo Dariya Par

woh Sheh Ka Aaqri Sajda Who Shimr Ka Khanjar

har Ek K Yaad Dilana Boht Zaroori Hai


5. Khamoosh Aal-e-muhammad Ka Aaj Dera Hai

bala Ka Shaam-e-ghareeba'n Me Ek Andhera Hai

rasool Zaadiya'n Aur Khaak Par Basera Hai

aza Ka Farsh Bichana Bohat Zaroori Hai


6. Hussain Hi Toh Sahara Hai Aadmi Ke Liye

hussain Hi Ki Zaroorath Hai Zindagi Ke Liye

urooj Azm-e-hussaini Ki Bartari Ke Liye

nashan-e-raah Batana Bohat Zaroori Hai