ghame shabbir amanat hai mere seene mein
ek yehi baat hai jo dil hai laga jeene mein
tera banda e ali hai ke khudaya tune
apni tasveer saja rakhi hai aaene mein
ghame shabbir amanat...
ran mein hamshakle payambar ko na bheje maula
koi barchi na utar aaye kahin seene mein
ghame shabbir amanat...
ye musalman ajab dushmane paighambar hai
dekh sakte nahi tasveer hi aaene mein
ghame shabbir amanat...
bacha cheh maah ka tha saamne darya tha rawan
kya ghata jaata tha do ghoont bhala peene mein
ghame shabbir amanat...