Chhe Maheene Ka Musafir Qatl Pyaasa Hogaya
Ghamzada Madar ki Duniya Me Andhera Hogaya
1. Jab Ali Asgher Ne Pheri Sookhe Hotou'n Par Zubaa'ñ
Muztarib Karbobala Ka Zarra Zarra Hogaya
Chhe Maheene Ka Musafir...(x2)
2. Dekh Kar Asgher Ka Laasha Fatima Ne Di Sada Phir Mere Mohsin Ka Haaye Zakhm Taaza Hogaya
Chhe Maheene Ka Musafir...(x2)
3. Aaj Tak Saare Jahaa'n Se Poochhti Hai Karbala
Ek Sawaal e AaB Par Ye Zulm Kaisa Hogaya
Chhe Maheene Ka Musafir...(x2)
4. Sheh Ne Chehre Par Mala Hai Jab Lahu Besheer Ka
Mustafa Ke Deen Ka Bhi Surkh Chehra Hogaya
Chhe Maheene Ka Musafir...(x2)
5. Zakhm Nanhe SE Gale Ka Maa Se Ye Kehne Laga
Nehr, Teer e Hurmula Se jhoole Waala Hogaya
Chhe Maheene Ka Musafir...(x2)
6. Aag Khaimou Me Lagi Jab Maa Tadapti Rehgayi
Dekhte Hi Dekhte Bas Raakh Jhoola Hogaya
Chhe Maheene Ka Musafir...(x2)
7. Kehke Ye Roti Rahi Hai'n Umr Bhar Umme Rabaab
Haaye Kya Soncha Tha Maine Aur Ye Kya Hogaya
Chhe Maheene Ka Musafir...(x2)
8. Jab Padi Bhai Ke Laashe Par Sakina Ki Nazar
Gham Se Maasooma Ka Dil Bhi Paara Paara Hogaya
Chhe Maheene Ka Musafir...(x2)
9. Aalam e Ghurbat Me Jisko Sheh Ne Dafnaya Kamaal
Uski Nanhi Qabr Par Naize Ka Hamla Hogaya
Chhe Maheene Ka Musafir...(x2)