chehlum karne aayi hai zainab
karbobala mein zindan se chut kar
sar par odhe zakhmon ki chadar
chehlum karne aayi hai zainab
karbobala mein zindan se chut kar
uth kar dekho raaj dularon
khaak nasheen quran ke paaron
dil pe le kar daaghe bahattar
chehlum karne aayi...
rukh pe udaasi chaayi hui hai
gham se behen ghabrayi hui hai
utho mere atthara baradar
chehlum karne aayi...
farsh bicha do laa kar ran mein
khayncho khanatein aa kar ban mein
aao kahan ho qasim o akbar
chehlum karne aayi...
ab na watan mein jaungi bhai
ro ro yahin mar jaungi bhai
ban ke teri turbat ki mujawir
chehlum karne aayi...
dashte bala mein hashr tha us dam
pahunchi hai jis dam zainab e purnam
qabre jari par ghutniyon chal kar
chehlum karne aayi...
kya mai bataun shaahe madina
mar gayi ghut gayi bali sakina
teri amanat shaam mein kho kar
chehlum karne aayi...
kaash teri shadi jo rachaati
phoolon ka sehra tujhko pinhaati
utho mere hamshakle payambar
chehlum karne aayi...
khaak pe baithi roti thi zainab
bain ye ro ke karti thi zainab
apne saron par kha kar pathar
chehlum karne aayi...
tu ne jo aalam nauha likha hai
aamir ne ro ro ke padha hai
ahle aza rote hai sun kar
chehlum karne aayi...