Chehlum manane qafela, le aayi hai zainab
Baazare sham se, darbaare sham se, Zindaane Sham se, Ho aayi hai zainab
1) Guzre jo sitam mujh pe wo, kaise bataau mai
Roodaad taaziyaano ki, kaise sunaau mai
Baazu pe nishaa'n rassi ke, le aayi hai zainab
2) Armaane rehai thi liye, qaide sham me
Cheeni hai qaza ne use, yu'n qaide sham me
Khokar teri sakina ko, lo aayi hai zainab
3) bhai sunaau tum ko mai, kya kya sitam hue
Oonto'n ki nangi pusht pe, alhe haram phire
Sab ko qabar thi aapki, maajayi hai zainab
4) Sajjade hazee'n touqo salaasal me tha jakda
Chaale pade the paao me, milo'n ka safar tha
Us par jo sitam toote na, seh paayi hai zainab
5) Sar kat the hi bas aapka, cheeni gayi chaadar
Sab itrate at'haar the, balwe me khule sar
Is zulm pe sar qam kiye, tharraayi hai zainab
6) Kis tarha ho bayaa'n sohail, ab daastaane gham
Qabro pe sabhi bibiyaa'n, karne lage maatam
Har ek sitam pe raah me, ghabraayi hai zainab
7) bibi dua ye karte hai, sab naasere aza
Bulwaalo hind se hame, ab jald karbala
Lab par ho nouha haaye kya, dukh paayi hai zainab