CHEHLUM KE LIYE AAYE HARAM QAID-E-SITAM SE
Marqad pa shah-e-deen ki ye Zainab ka bayaa’n tha
Maajaye utho hoke rehaa aaya hai kunba
Kaise mai batau’n ke sitam toote hain kya kya
Lagte rahe masoom Sakina ko tamache
Zanjeer mein jakde huwe haatho se uthakar
Sajjad-e-Hazee khaak mein khwaahar ko chhupakar
Zindaan mein masoom lahad ek banakar
Aaye hain amanath teri zindaa’n me sulake
Bano ye fughaa’n karti thi batlaiye waali
Kis muh se watan jaau’n mujhe sharm hai aati
Godi meri veeraan huwi maang bhi ujdi
Kya doo mai jawab usko jo Sughra hame puche
Ro roke yahi Ahl-e-haram karte the naale
Thi gard-e-safar baalo’n pe utre huwe chehre
The neel jo ubhre huwe baazu pe rasan ke
Kehti thi nabi zaadiyaa’n hum aaye hain lutke
Kya karb hai dekhe to koi haal dulhan ka
Dukh karti bayaa’n kisse ke humsin na koi tha
Maili si rida odhe huwe zard tha chehra
Guzra hai jo kuch us pe wo ab kisko sunaye
Sajjad-e-Hazee’n peet-te hain sar apna jhukaye
Wo haal dil-e-zaar ka ab kisko bataye
Gardan ka nishaa’n tauq ka kyun kar wo dikhaye
Roodad-e-Safar kehte hai khud paau’n ke chhale
Jab Ghazi ki turbat pe gayi Zainab-e-Muztar
Larza tha badan gham se fughaa’n karti thi rokar
Hilti thi lahad us dam Sohail aik tha mehshar
Guzre jo sitam kehti thi Ghazi ki lahad se