Khoon Akbar Ka Kaleja Hogaya
Nawjawani Tujse Shikwa Hogaya
Khalb Main Paywast Naiza Hogaya
Karwatoun Se Zakhm Gayra Hogaya
Maut Run Main Loriyaa Dethi Rahi
Dasthe Shay Asgar Ka Jula Hogaya
Taza Taza Dekkar Akbar Ki Laash
Zindagi Ka Maa Ko Dhoka Hogaya
Karbala Qasim Ki Shaadi Youn Kuiee
Khoon Se Range Hai Sehra Hogaya
Phool Sehray Kay Bikhar Kar Ragaey
Gadoun Se Pamal Dula Hogaya
Nawjawani Ki Qasam Khakar Uto
Aey Ali Akbar Savera Hogaya
Shaam Se Paulay Khule Zainab Ke Baal
Saari Dunya Main Andhera Hogaya