KIS TARHA JEE PAUNGI MAI TUJHKO PYASA DEKHKAR
AATA HAI MUH KO KALEJA QALI JHULA DEKHKAR
Qaima-e-Shabbir Me Matam Bapa Hone Laga
Haan Bulao Shah Ko Banu Ne Ye Rokar Kaha
Che Mahine Wale ko Jhule Se Girta Dekhkar
Hai Qayam-e-Shah Me Sab Pyas Se Bacche Nidhal
Hai Ali Asghar Bahut Pyase Ye Sab Ko Hai Qayal
Roti Hai Bali Sakeena Qali Quza Dekhkar
Chehra-e-Asghar Pa Tha Jo Nusrat-e-Shahe Ka Sabab
Baraha Akber Balaye Leti Umme Rabab
Mut-Maeen Thi Maa Bahut Asghar Ka Chera Dekhkar
Khud Ko Jhule Se Giraya Roke Ye Kheti Thi Maa
Koi Baqi Ab Nahi Tanha Khade Hai Baba Jaan
Kyon Mai Jhule Me Rahu Baba Ko Tanha Dekhkar
Chalgayi Shamsheer Qalb-e-Hazrat-e-Shabbir Par
Hurmula Ka Teer Nikla Jab Gale Ko Chedkar
Ro-Pade Shabbir Asghar Ka Tadapna Dekhkar
Dekhkar Lasha Ali Asghar Ka Kheti Thi Ye Maa
Khoo me Dooba Aaye Ho Ran Se Palatkar Meri Jaa
Kis-Tarha Zinda Rahu Mai Tera Lasha Dekhkar
Mere Asghar Mere Dilbar Kheke Chillati Thi Maa
Qawab Se Bedar Hokar Hath Phelati Thi Maa
Qawab Me Ghutni Ke Bal Asghar Ko Aata Dekhkar
Arsh Tharraya Madine Ki Zameen Hilne Lagi
Sughra Ghash Se Chounkkar Sar Peetkar Rone Lagi
Qawab Me Zibha Ali Asghar Ko Hota Dekhkar
Dekhkar Manzar ko Ye Rone Lage Ambiya
Goonjti Thi karbala Me Haye Asghar Ki Sada
Lash-e-Asghar Ko Lahad Se Bahar Aata Dekhkar
Har Qadam Par Banu-e-Muztar Pachade Khati Hai
Dekhkar Asghar ka Sar Madar Pachade Khati Hai
Rote Hai Asghar Sina Par Maa Ka Chehra Dekhker
Rakte Hain Lasha Lahad Me Asghar-e-Besheer Ka
Chehre Se Chadar Hatai Shahe Ne Hyder Ba-Khuda
Maa Tadapkar Reh-Gayi Asghar Ka Lasha Dekhkar