KYA TERA MUQADDAR HAI SHAIDA-E-ALI ASGHAR
Khatoon-e-Junaan Aai Hain Tujh Ko Dua Dene
Mushtaq Hain Hyder Bhi Mahnat Ka Sila Dene
Kya Tera Muqaddar Hai Shaidae Ali Asghar
do Betoun Ke Laashoun Par Zainab Ne Kiya Sajda
Qismat Ne Dikhaya Hai Ek Maa Ko Ye Din Kaisa
Mitti Me Mile Saare Armane Dile Jaafar
Kya Tera Muqaddar Hai Shaidae Ali Asghar
Qasim Ke Janaze Par Kahte The Shahe Wala
Bhai Ki Nashani Ko Zalim Ne Mita Dala
Ek Roz Ka Dulha Hai Ye Laqte Dile Shabbar
Kya Tera Muqaddar Hai Shaidae Ali Asghar
Maqtal Se Shahe Wala Baazu Ko Utha Laaye
Aur Thame Kamar Apni Qaime Me Chale Aaye
Bhai Ki Judaai Se Phir Zaqm Laga Dil Par
Kya Tera Muqaddar Hai Shaidae Ali Asghar
Abbas Chale Aao Shabbir Akele Hain
Har Simt Sitamgar Ke Badhte Huwe Pahre Hain
Shabbir Huwe Tanha Ab Koi Nahi Yawar
Kya Tera Muqaddar Hai Shaidae Ali Asghar
lasha Ali Akbar Ka Maidan Se Shah Laaye
Zainab Ke Laboun Par Hai Bas Aik Sada Haaye
Rote Hain Haram Saare Kya Dard Ka Hai Manzar
Kya Tera Muqaddar Hai Shaidae Ali Asghar
shabbir Jab Asghar Ko Maidan Main Laaye The
Asghar Ne Wahan Apne Jouhar Bhi Dikhaye The
Rone Pe Utar Aaya Tha Shaam Ka Wo Lashkar
Kya Tera Muqaddar Hai Shaidae Ali Asghar
ab Door Bahot Mujh Se Hona Hai Sakina Ko
Aur Meri Judaai Me Rona Hai Sakina Ko
Ye Sonch Ke Hote Hain Bachain Bahot Sarwar
Kya Tera Muqaddar Hai Shaidae Ali Asghar
Shabbir Huwe Ruqsat Zainab Ne Kaha Rokar
Ab Koun Bachaega Zainab Ki Bhala Chaadar
Ab Tum Bhi Gaye Bhai Veeran Huwa Ye Ghar
Kya Tera Muqaddar Hai Shaidae Ali Asghar
Qaime Se Ajab Manzar Dekha Hai Ye Zainab Ne
Shabbir Ka Sar Ran Me Hota Hai Juda Tan Se
Dam Todta Hai Bhai Aur Dekhti Hai Khwaahir
Kya Tera Muqaddar Hai Shaidae Ali Asghar
zainab Ki Dua Ban Kar Chaaenge Zamane Me
Karne Ke Liye Matam Aaye Hain Zamane Me
Ye Apna Muqadar Hai Shaidae Ali Asghar
Kya Tera Muqaddar Hai Shaidae Ali Asghar
Shabbir Ki Majlis Me Hain Ashke Aza Jaari
Hai Shour Qayamat Ka Hai Aaho Buka Aisi
Har Ek Zabaan Par Ab Nouha Hai Yahi Hyder
Kya Tera Muqaddar Hai Shaidae Ali Asghar