Kanz e Aza

Aye Mere laal Asghar

A noha for Ali Asghar (a.s), recited by Anjuman e Asghari. Lyrics in Roman Urdu.

Aey Mere Laal Asghar as Aey Mere Laal Asghar as

Maa Kehti Hai Yeh Rokar, Aey Mere Laal Asghar as

1-Halmin Ki Sada Sunkar Jhoole Se Wo Girjaana

Aakho'n Me Hai Wo Manzar


Aey Mere Laal Asghar as


2-Ankho,n Me Tera Chehra Phirta Hai Mere Beta

Bechain Hai Ye Maadar


Aey Mere Laal Asghar as


3-Wo Teere Sitam Khaake Dam Todhna Haatho,n Par

Zakhmi Hai Dil E Sarwar as


Aey Mere Laal Asghar as


4-Chehre Pa Malaa Shaey as Ne Besheer Lahoo Tera

Pur Dard Hai Ye Manzar


Aey Mere Laal Asghar as


5-Asghar Tera Jhoola Bhi Aada Ne Hai Jalaya

Kaise Jiyegi Maadar


Aey Mere Laal Asghar as.


6-Sughra Jo Tumhe Pooche Kia Usko Bataungi

Marjae Na Wo Muztar


Aey Mere Laal Asghar as.


7- Arif Ko Bhi Bulalo Hamraah Asghri Ke

Asghar Tumhare Dar Par


Aey Mere Laal Asghar as