sar jo cheh maah ke baysheer ka naize pe chada
nok e naiza se ye asghar ki sada aane lagi
badan se nok e naiza tak mera sar aa gaya amma
tera asghar bhi ek akbar ke barabar aa gaya amma
galay par teer khaaye chain se soya hua tha mai
achanak qabr may naiza utar kar aa gaya amma
badan se nok e naiza tak...
hai kuch teer o sina par aur kuch baba ke chehre par
badan may khoon jitna tha wo baahar aa gaya amma
badan se nok e naiza tak...
bataye aap ne ye raakh jo pehlu may baandhi hai
mera jhoola bhi kya sholon ki zad par aa gaya amma
badan se nok e naiza tak...
sar e bazaar us lamhe bhi tumko sabr karna hai
mere sar ki taraf koi jo pathar aa gaya amma
badan se nok e naiza tak...
bhala tum meri masooma behen ko kya batati ho
sakina poochti hogi ke asghar aa gaya amma
badan se nok e naiza tak...
mera khoon may bhara kurta liye yasrab chali jaana
samajh lena tumhare saath mai ghar aa gaya amma
badan se nok e naiza tak...
ba roze hashr ahsan bas yehi sun'ne ki hasrat
ali asghar kahe mera sukhanwar aa gaya amma
badan se nok e naiza tak...