Kanz e Aza

Bano ka Naunehal

A noha for Ali Asghar (a.s), written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

be taygh ran ko jaata hai bano ka naunehal

kamsin hai bhooka pyasa hai bano ka naunehal

bano ka naunehal


apni aba mein usko chupalo kadi hai dhoop

is gul badan ka dhoop se saula na jaye roop

naazuk bahot zyada hai bano ka naunehal

bano ka naunehal


maidan mein teer chalte hai maula na jaiye

madar ka dil dehelta hai ghar laut aaiye

teero ki zad pa aaya hai bano ka naunehal

bano ka naunehal


jhoole ko dekh dekh kar phat'ta hai maa ka dil

asghar ke saath dasht mein jaata hai maa ka dil

nusrat ko sheh ki jaata hai bano ka naunehal

bano ka naunehal


bali sakina rok rahi hai pakad ke haath

bhaiya na jao ran ko mai khelungi kiske saath

roko na mujhko kehta hai bano ka naunehal

bano ka naunehal


kisne kaha ke pyas se rota tha sheerkhaar

izne jihad maang raha tha wo baar baar

maidan mein muskuraya hai bano ka naunehal

bano ka naunehal


joday zaban ka teer labon ki kamaan se

nikla hai jang karne wo hyder ki shaan se

khyber shikan ka pota hai bano ka naunehal

bano ka naunehal


aaya paye jihad wo maqtal mein jhoole se

do ghutniyo bhi chal nahi sakta tha is liye

baba ko saath laaya hai bano ka naunehal

bano ka naunehal


dekho chala wo teer kaman se suye sagheer

kaampi zameen e karbobala roye be-zameer

jab teer khaake tadpa hai bano ka naunehal

bano ka naunehal


rehaan azmi tere nohay ke soz se

ehle aza ke saath farishte bhi ro diye

tujhko duawein deta hai bano ka naunehal

bano ka naunehal