Kanz e Aza

Basta Ba Zanjeer

A noha written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

basta ba zanjeer basta ba zanjeer

jumla yateema haye

aah hussaina shaahe shaheedan

basta ba zanjeer jumla yateema


jalte huwe ghar lut'ti ridayein

kisko sada de kisko bulayein

aah hussaina...

basta ba zanjeer...


ek zanjeer e sitam baara aseero ke galay

uspe ye hukm ke har peer o jawan tez chale

ee sitam haye hussaina

pusht pe padte rahe saath durron ke nishan

aah hussaina...

basta ba zanjeer...


ek beemar aseeron ka jo salaar bana

thaame zanjeer e sitam jaanibe darbar chala

ee sitam haye hussaina

roya shabbir ka sar barsare noke sina

aah hussaina...

basta ba zanjeer...


dhoop se pyar hai saaye se sarokaar nahi

koi bano ki tarha bekas o ghamkhwar nahi

ee sitam haye hussaina

kaise asghar ke bina saaye mein jayegi maa

aah hussaina...

basta ba zanjeer...


umme laila ka jigar hogaya paara paara

us ne dekha hai jawan laal ke dil mein naiza

ee sitam haye hussaina

moo ko aata hai jigar sunti hai jab bhi azan

aah hussaina...

basta ba zanjeer...


ek naushaah ki mayyat ke bahattar tukde

maadare qasim e muztar ki nazar se guzre

ee sitam haye hussaina

sar kahan jism kahan dil kahan haath kahan

aah hussaina...

basta ba zanjeer...


wo jo lashkar ka alamdar tha daste shabbir

bar labe nehr likhi jisne wafa ki tehreer

ee sitam haye hussaina

wo nahi hai to nahi ab mere jism mein jaan

aah hussaina...

basta ba zanjeer...


kaan zakhmi hai gala khushk jala hai daaman

saans lene nahi deti hai sakina ko rasan

ee sitam haye hussaina

neend aati hai usay wo magar soye kahan

aah hussaina...

basta ba zanjeer...


beridayi ki aziyyat ko uthaane waale

haye wo aale mohamed ke gharane waale

ee sitam haye hussaina

apne is haal pe bhi kar nahi paaye fughan

aah hussaina...

basta ba zanjeer...


nauha rehaan aseeron ki zuban mein likh kar

is qadar roya qalam ho gaya khirtaas bhi tar

ay meri jaan hussaina

farshe majlis pe huwe qalb o jaan nauha kuna

aah hussaina...

basta ba zanjeer...