ye kaun hai jawan
akbar ke sar ko dekh ke naize ki nok par
har koi poochta tha ye abid ko rok kar
batlao mar gayi hai ya zinda hai iski maa
aankhon ko apne band kiye hai ye zee hasham
bazaar mein jo aaye hai beparda kuch haram
kya iski rishtedar hai ye saari bibiyan
batlao mar gayi...
be-rehm isko maarne waala tha kis qadar
sookhi hui galay ki ragein hai jo is qadar
marne se pehle kab se ye pyasa tha naujawan
batlao mar gayi...
manzar ye gham ka dekh ke dil khoon rota hai
kuch yaad kar rahi hai ye mehsoos hota hai
ek bibi isko takti hai hoti hai jab azaan
batlao mar gayi...
kya dushmani kisi ki thi aise haseen se
thaame jigar zameen pe aaya tha zeen se
sunte hai iske seene mein todi gayi sina
batlao mar gayi...
seene se naiza zulm ka nikla hai kis tarha
dam naujawan ne khaak pe toda hai kis tarha
maa ne na iski dekha ho ghurbat ke ye samaan
batlao mar gayi...
phoolon ka sehra sar pe sajane ki umr thi
ye to jawan ko dulha banane ki umr thi
jaana kaha tha maut usay le gayi kahan
batlao mar gayi...
hai gard mein ghareeb ke gaysu atay huwe
talwaron se sitam ki hai abroo kate huwe
kya zulm is pe toota hai chehre se hai ayan
batlao mar gayi...
laila ko dekha aur kabhi akbar pe ki nazar
khamosh thay wo mir takallum jhukaye sar
sajjad us sawaal pe rote thay shadman
batlao mar gayi...