Kanz e Aza

Bazaar Aa Raha Hai

A noha for Darbaar e Shaam, written by Haider Awan. Lyrics in Roman Urdu.

ye kaun khoon rota bazaar aa raha hai

lab pe sawaal e chadar aankhon mein karbala hai


mahol hai sharabi uryan aayatein hai

ghairat ke na khuda par ghurbat ki imtehan hai

ye kaun khoon rota…


abid haya ka kaaba kaise na khoon roye

namoos us jari ki balwe mein berida hai

ye kaun khoon rota…


ghairat se khoon mein tar har aankh hai sina par

darbar waqt e payshi nazdeek aa chuka hai

ye kaun khoon rota…


hilne lagi zameen aur bazaar thar tharaya

zainab ka patharon se jab zakhmi sar hua hai

ye kaun khoon rota…


balon mein aa chuki hai masooma ke safedi

shimr e layeen ne uspe itna sitam kiya hai

ye kaun khoon rota…


haider karenge matam is baat ka hashr tak

sajjad ki jawani bazaar kha gaya hai

ye kaun khoon rota…