bazare shaam aagaya
akbar mere jawan kisko bulaye maa
zainab ki lo khabar abid hai natawan
bazare shaam…
dashte bala ko chor kar khake shifa ko odh kar
ay faqre kibriya suno kehti hoo haath jodh kar
kaise chalegi maa ay mere naujawan
bazare shaam…
qismat ki paasban hai wo khairunnisa ki jaan hai wo
ghurbat ki inteha hui ghairon ke darmiyan hai wo
shazadiye jina sehti hai saqtiyan
bazare shaam…
qaatil tera mere pisar sajjad ka hai humsafar
kam to nahi hai ye sitam sehta raha hai wo magar
kaise sahe bhala bemaar saar baan
bazare shaam…
maine suni hai ye sada kehte hai shaam may sabhi
badla ali ka lenge hum binte ali se aaj hi
pathar se hai bhari logon ki jholiyan
bazare shaam…
na-mehramo ki bheed may uth'ti nahi nazar meri
abbas ki qasam nahi tashnalabi ka gham koi
dukh hai ye meri jaan sehmi hai bibiyan
bazare shaam…
paala hai jisne umr bhar akbar tujhe hijab may
ghazi ke saamne bhi wo beta rahi naqaab may
ghairon may be rida jaati hai al-amaan
bazare shaam…
noke sina ko dekh kar yawar ye keh rahi thi maa
aa dekh tu bhi naujawan madar ka apni imtehan
aankhen na band kar ghairat se aasman
bazare shaam…