Kanz e Aza

Bazare Shaam May

A noha for Darbaar e Shaam, written by Zulfiqar Ahmed. Lyrics in Roman Urdu.

bazare shaam may darbare aam may

qaidi rahi nana roti rahi nana

do tohfe laayi hoon mai aap ke liye

ek bhai ka kurta aur bazu'on ke neel

karbal se shaam tak be-maqna o chadar

pur-khar raho par chalti rahi nana

bazare sham may...


kya bekasi bhari aayi wo shame gham

asbaab lut gaya qaime bhi jal gaye

jis dam mere sar se cheeni gayi rida

abbas ko sada deti rahi nana

bazare sham may...


balon ka tha parda baazu may reesma

bali sakina ka jakda huwa gala

karte rahe aada jo sang baariyan

har ranj o musibat sehti rahi nana

bazare sham...


sajjad natawan pe zulm ka toofan

haton may hathkadi pairon may bediyan

durre lagate thay har gaam pe aada

us bekasi pe mai roti rahi nana

bazare sham...


bano ka laadla asghar bhi chal basa

akbar bhi chal basa qasim bhi chal basa

mahe bani hashim ghazi bhi chal basa

ashoor ko din bhar lut'ti rahi nana

bazare sham...


karbal ki dasht may ye kya sitam hua

mai be-rida rahi wo bekafan raha

tapte zameen pe laasha pada raha

mai kuch na kar saki ghut'ti rahi nana

bazare sham...


zindan e shaam ka aalam ajab sa tha

din may thi tez dhoop raton may oas thi

maa'en tadapti thi bache bilakte thay

har pal wahan pe mai marti rahi nana

bazare sham...


ahmed badi ghamgeen zainab ki dastan

kaamp uth'ti lehad ahmed ki ay hassan

mushkil ka marhala tay karke aayi hoo

bhai ki maut par roti rahi nana

bazare sham...