Kanz e Aza

Bazar saja hai aur zainab be chadar

A noha for Darbaar e Shaam. Lyrics in Roman Urdu.

bazare shaam darbaare shaam-2


haye haye zainab haye haye shaam


baazaar saja hai aur zainab be chadar


haye haye zainab haye haye shaam


raaho me log sharabi aur binte ali faryaadi

ek chadar maang rahi hai ummat se syed zaadi aur log tamashaayi aaye hai bankar

har soo naapaak nigaahe aur aale nabi ki aahe'n

sang baari karne aaye sab log sajakar raahe'n


is gham se haram hai seena zan nouhagar

hai kaisi qayaamat aayi taqdeer kaha'n par laayi

har zaqm saha hai dil par har chot jigar par khaayi

ye shaam ki galiyaa'n kehti hai ro ro kar


abbas ki qwahar zainab haye binte hyder zainab

baalou se chupa kar chehra phirti hai dar dar zainab

haye kaisi qayamat ka logo ye manzar

jis ghar se parda daari ki rasm hui thi jaari


beparda dekhne unko aayi hai dunya saari

zainab ke kaleje par chalte hai qanjar

ye zulm bhi kaisa dhaaya bazaare shaam sajaya

hathou se ishara kar ke bibi ka naam bataya


girta tha waha beemar mera ghash kha kar