BEGORO KAFAN RUN MEIN SHABBIR KA LASHA HAI
FARYAD-O-FUGHAA’N KARTI MAA FATIMA ZEHRA HAI
Sarwar ne raah-e-haq me ghar apna lutaya hai
Har zulm-o-sitam sehkar Islam bachaya hai
Jo nok-e-sina par bhi Quraan sunaya hai
Tifli mein kiya tha wo waade ko nibhaya hai
Kehti thi yehi Zehra kyun zulm ye dhaate ho
Kya iski qata hai kyun barsaate ho naizon ko
Tum deke ise eza tadpao na yuin mujhko
Sab qatl huwe pyaase bachcha mera tanha hai
Mehmaan bulaakar yuin dhaate ho sitam kyunkar
Say roz ka bhooka aur pyaasa hai mera dilbar
Mazloom musafir par barsao na yuin pathhar
Kehti rahi Zainab ye bhaiya mera pyasa hai
Wo sadme uthaye the ek din mein bahattar ke
Ansaaro ke laaye the maidaa’n se kabhi laashe
Paamaal bhatije ke dekhe the kabhi tukde
Sarwar ke liye ab to andher ye duniya hai
Har simt se hamle the jaan-o-dil-e-zehra par
Ek tan pa musalsal the talwar-o-sinaa khanjar
Sambhla nahi jata tha mazloom se ghode par
Paamaal ki zadd par bas Ahmed ka nawasa hai
Jalti huwi reti par tha dhoop mein tan shai ka
The pehne huwe sarwar zakhmon se bana kurta
Batlao Sohail us dam kya karb ka tha hamla
Sarta ba qadam lasha sab khoo’n dooba hai