BEDAST JARI RAN ME GHODE SE GIRA BABA
BAZU SHAHE BEKAS KA U TOOT GAYA BABA
1: Kya laut k phir ammu wapas nahi aayegay
Hasrath bhare lahje me bachi ne kaha baba
2: har zulm k durre par har ek tamache par
Ghazi ko sakina jaan deti thi sada baba
3: rassi ka guma apne bazu pe na tha mumkin
Ab aap k kehne ka ehsaas hua baba
4: tha aankh me paiwastha ek teer na the bazu
Abbas k mathe par jab gurz laga baba
5: Shabbir ki tanhayi ab kisko sadaye de
Saya bhi musibath me jab chord gaya baba
6: jab aap k betao ne khoo apna diya isko
Ye khaak na ho kyu kar phir khaak e Shifa baba
7: tanha the shahe bekas ab kaise batau mai
lasha Ali akber ka kis tarha utha baba
8: serab hue Asghar ek teer e sitamger se
Besheer ko khatra bhi pani na mila baba
9: chalte hue qaimo se beemar nikal aaya
Abid ko sahara bhi maine hi diya baba
10: darya k kinare par ek lash tarapti thi
Shabbir ne di jis dum halmin ki sada baba
11: Taqdeer ne dikhlayi gurbath me aseeri bhi
Chadar ka jo saya tha sar par na raha baba
12: ghazi ki lahad itni choti si bani kaise
Ehsaas ne sadiq se ye pooch liya baba