beh rahi hai saamne nehre furaat
mustufa ki aal tishnakaam hai
karbala mein shaad fauje shaam hai
khatm shahe deen ka sar anjaam hai
pyas se bache hai shah ke jaan balab
umr ka lab rez unka jaam hai
khatema bil khair lashkar ka hua
halq pyason ka tahe shamshaam hai
panjetan ka khatema hota hai aaj
garkh khoon mein kaukab-e-islam hai
shaam ke badal mein hai mehve mubeen
hai andhera hashr ka hangam hai
haale asghar dekh kar bole adoo
rehm ke khaabil ye tishnakaam hai
hum pilayenge isay pani zaroor
jaan balab afsos ye gulfaam hai
hurmula se phir ye bola naabkaar
sach bata tu taalibe inaam hai
shaah ke haaton pe jo hai bezuban
tashnalab do din se ye gulfaam hai
chahta hoo mai ye marjaye abhi
tere ek teere sitam ka kaam hai
waada e tifli bapa hone ko hai
shaah khush hai qalb ko aaram hai