behan sakina muaaf karna
rehaai bhi mai dila na paaya
lehad pe sajjad ka tha nauha
ye bhai tujhko bacha na paaya
wo durr jo baba ne thay pinhaye
wo shimr ne is tarha se cheene
tujhe tamachon se shimr ke mai
ay mere pyari bacha na paaya
behan sakina muaaf...
wo bebasi se tera bilakna
jab aag daaman jala rahi thi
mai kitna majboor tha sakina
wo aag teri bujha na paaya
behan sakina muaaf...
tum oont ki pusht se bandhi thi
badan tha zakhmi lahoo tha jaari
tadap rahi thi atash se jab tum
mai pyaas teri bujha na paaya
behan sakina muaaf...
wo yaas o hasrat se tera kehna
ke qaid mein hai bahot andhera
charagh laa do bas ek khudara
charagh bhi mai jala na paaya
behan sakina muaaf...
mai haal bhaiya kise bataun
nahi hai ammu kahan hai baba
bulaye baba ko mere bhaiya
behan mai unko bula na paaya
behan sakina muaaf...
lita lo seene pe aaj bhai
ke yaad baba ki aa rahi hai
thay itne lohe ke tan pe ke itne zewar
behan mai tujhko lita na paaya
behan sakina muaaf...
tu kitni hasrat se poochti thi
milegi kab qaid se rehaai
nahi rehaai tera muqaddar
behan mai tujhko bata na paaya
behan sakina muaaf...
wo tauq o zanjeer o hathkadi mein
banayi kaise behan ki turbat
shameem likhe wo kaise manzar
jo mera maula bhula na paaya
behan sakina muaaf...