behen ne ro ke pukara mujhe sahara do
mai be-dayaar hoon bhaiya mujhe sahara do
mera khayaal karo mai aseer hoti hoon
mai aaj reh gayi tanha mujhe sahara do
behen ne ro ke pukara...
tumhare baad bahot zulm dhaaye aada ne
mai thak gayi hoon zara sa mujhe sahara do
behen ne ro ke pukara...
na sar pe baap ka saaya na maa na bhai hassan
tum hi ho mera sahara mujhe sahara do
behen ne ro ke pukara...
samajh mein kuch nahi aata ke kya karun aakhir
tadap rahi hai sakina mujhe sahara do
behen ne ro ke pukara...
tumhe qubool na thay meri aakh mein aansu
bani hoon gard e sarapa mujhe sahara do
behen ne ro ke pukara...
yateem bacche hai raandein hai sar chupaun kahan
bicha hai aag ka darya mujhe sahara do
behen ne ro ke pukara...
tumhare khoon mein mushkil kushayi shaamil hai
behen ki baat hai bhaiya mujhe sahara do
behen ne ro ke pukara...
ye jaante huwe majboor hoon akeli hoon
taras na khayegi dunya mujhe sahara do
behen ne ro ke pukara...
ghamon ke bojh se saansein bhi ladkhadane lagi
safar tamaam hai mera mujhe sahara do
behen ne ro ke pukara...
suroor laasha e be-sar tadap gaya ran mein
sada jab aayi ke bhaiya mujhe sahara do
behen ne ro ke pukara...