chale hai karbala sarwar aza ka aakhri din hai
azakhana badhaya jaa raha hai dil pareshan hai
mai kin aankhon se dekhun ghar aza ka aakhri din hai
chale hai karbala sarwar aza ka aakhri din hai
hamay jo zinda rakhe tha usi mehman ki rukhsat hai
jiyenge saal bhar kyun kar aza ka aakhri din hai
chale hai karbala...
hamari maa ali ashgar ka gehwara badhati hai
badhati hai alam baahar aza ka aakhri din hai
chale hai karbala...
na ghar hi acha lagta hai na dunya achi lagti hai
ye dil rota hai reh reh kar aza ka aakhri din hai
chale hai karbala...
gharon se taziye ki shakl mein shabbir jaate hai
qayamat ka hai ye manzar aza ka aakhri din hai
chale hai karbala...
azadaron ke chehron par udaasi hi udaasi hai
likha hai sab ke chehron par aza ka aakhri din hai
chale hai karbala...
abhi kuch dayr mein farshe aza bhi uthne waala hai
zameen roti hai ye keh kar aza ka aakhri din hai
chale hai karbala...
mai baba ko tumhare kis tarha rukhsat karun ghar se
sahara do ali akbar aza ka aakhri din hai
chale hai karbala...
suroor agle baras tak zinda rehne ki dua maango
qayamat aa gayi sar par aza ka aakhri din hai
chale hai karbala...