Kanz e Aza

Fatima ke dil ke chain alvida

A noha for Alvida. Lyrics in Roman Urdu.

Alwida alwida alwida , Alwida alwida alwida , Ay mere moula Hussain alwida , Fatima ke dil ke chain alwida , Ay Ali ke noore ain alwida , Ay Imame mashraqain alwida , Shaahe shahidaa'n Hussain alwida

Ay mere moula Hussain alwida , 1) Humse hai ruksat shahe mazloom ki , Binte Ali zainabo kulsoom ki , Tashnae lab Asghare masoom ki , Hai yahi hum sab ke bain alwida

Ay mere moula Hussain alwida , 2) Humse wida hote hai shahe zaman , Jaate hai ab Qasime gul pairahan , Akbar o Abbase jari saf shikan , Rounaqe bazme Hussain alwida

Ay mere moula Hussain alwida , 3) Gham me basar hote hai shaamo saher , Chaak garebaan hai aur nange sar , Peet'te sar apna hai jinno bashar , Kehte hai ba-shoro shain alwida


Ay mere moula Hussain alwida , 4) Silsila maatam ka yeh hoga na kam , Qalb ki dhadkan me hai shamil yeh gham , Jeeete hai tou agle baras phir baham , Ayenge moula Hussin alwida

Ay mere moula Hussain alwida , 5) Aun o mohd ko humara salaam , Qasimo Akbar ko humara salaam , Sheh ke baradar ko humara salaam , Jaate hai bekas Hussain alwida

Ay mere moula Hussain alwida , 6) Zainabe kubra ko humara salaam , Bano ko farwa ko humara salaam , Pyaasi sakina ko humara salaam , Raahat e jaane Hussain alwida

Ay mere moula Hussain alwida , 7) Kehti hai sar peet ke karke buka , Anjuman-e-Naseran-e-Aza , Humse tera haq na ada ho saka , Alwida bekas Hussain alwida


Ay mere moula Hussain alwida , 8) Jis ghadi Hyder ne yeh noha likha , Karbobala se yahi aayi sada , Phir se ziarat ka sharaf ho aata , Hind phir aana Hussain alwida

Ay mere moula Hussain alwida ,