aza tamaam hai riqqat karo azadaron
hussain jaate hai ruqsat karo azadaron
safar ka waqt hai mehman ko alwida kaho
juloos e shaah e shaheedan ko alwida kaho
ujad ne waale hai kuch dayr mein azakhane
kisi behan ko kisi maa ko alwida kaho
hussain jaate hai...
zareeh tashna musafir ki badne waali hai
imambadon ki raunaq ujadne waali hai
bujhe huwe hai diye ro rahi hai deewarein
jo mehman thi wo bibi bichadne waali hai
hussain jaate hai...
saron pe gard hai aansu hai aasteeno par
udaas baithe hai sab matami zameeno par
rula rahe hai ye murjhaye phool sehron ke
na taaziye hai na patke hai sheh nasheeno par
hussain jaate hai...
kahan se aaj ye manzar aza ke layegi
ye khamoshi ye udaasi hamein rulayegi
jiyenge kaise zari o alam se hoke juda
na din ko chain na raaton ko neend aayegi
hussain jaate hai...
nabi ke chain ko kaise kahe khudahafiz
shahe hunain ko kaise kahe khudahafiz
ye soch soch ke aankhon mein ashk aaye hai
ke hum hussain ko kaise kahe khudahafiz
hussain jaate hai...
suqood bazme aza ka bahot rulayega
khud apne ghar ka ye sannata humko khayega
kisay khabar ke ye din phir naseeb ho ke na ho
jo agle saal jiyega wo gham manayega
hussain jaate hai...
udaasiyan sabhi maaon ke rukh pe chaayi hai
labon pe bayn ko aankhon mein ashq laayi hai
phupi ko dena hai pursa tumhare baba ka
sakina bibi tumhari kaneezein aayi hai
hussain jaate hai...
tumhari yaad mein bechain hote jaate hai
tumhari hijr mein jaan apni khote jaate hai
inhe bhi dekhlo jhoole se ay ali asghar
ye bache godhi mein maaon ki rote jaate hai
hussain jaate hai...
jab aayega kisi barchi ka dhyan royenge
faza mein goonjegi jab jab azan royenge
tumhare hijr mein hum ay shabihe paighambar
dil apna peet ke saare jawan royenge
hussain jaate hai...
hai itna aamir o nayyar ko bhi yaqeen maula
pasand tum ko hai dono hi sar zameen maula
watan hamara hai bharat bhi karbala bhi magar
jahan chale ho hamein le chalo wahin maula
hussain jaate hai...