karbala tu hi bata
mujhpe kyun zulm hua kya thi asghar ki khata
karbala tu hi bata
mere pyason pe to khud pyaas bhi tharrayi hai
tashangi haddion mein itni utar aayi hai
beh raha hai darya karbala tu hi bata
mujhpe kyun zulm hua...
meri aankhon mein qayamat ka dhuan chaaya tha
saath barchi ke kaleja bhi nikal aaya tha
haye akbar mera karbala tu hi bata
mujhpe kyun zulm hua...
kabhi aage ko badhun aur kabhi peeche jaaun
kis tarha qaime mein asghar ko mai lekar jaaun
nahi uth'ta laasha karbala tu hi bata
mujhpe kyun zulm hua...
naujawan laash zaeefi mein uthayi maine
aur baysheer ki turbat bhi banayi maine
waada sab poora kiya karbala tu hi bata
mujhpe kyun zulm hua...
kaun thaamega hussain ibne ali ke baazu
nehr par kat gaye abbas e jari ke baazu
hogaya mai tanha karbala tu hi bata
mujhpe kyun zulm hua...
ghodon ki taapon se pamaal hua ibne hassan
laash ke tukdon se is tarha nazar aaya tha ran
jaise dil shabbar ka karbala tu hi bata
mujhpe kyun zulm hua...
tukde tukde mera tan hogaya shamsheeron mein
haddiyan toot ke uljhi hai meri teeron mein
mai hoon zakhmon se bhara karbala tu hi bata
mujhpe kyun zulm hua...
kaisi ummat ki mohabbat hai ye shabbir ke saath
qatl karti hai mujhe naara e takbeer ke saath
mai hoon mehwe sajda karbala tu hi bata
mujhpe kyun zulm hua...
jhaadne aayi hai maqtal ki zameen baalon se
rayt nam ki hai hateli ke bhare chaalon se
ro rahi hai zehra karbala tu hi bata
mujhpe kyun zulm hua...
bhool payenge na ehsaas ke maqtal mujhko
royenge aamir o nayyar bhi musalsal mujhko
mai hoon aisa nauha karbala tu hi bata
mujhpe kyun zulm hua...