ay mere laal hussain
karti hai bain zehra aansu baha baha kar
bacche ko mere maara hai ran may rula rula kar
allah rehm farma ek bezuban ki mayyat
aada nikaalte hai naiza chuba chuba kar
karti hai bain zehra...
boli sakina ammu ye haal hai hamara
peete hai pani aada hum ko dikha dikha kar
karti hai bain zehra...
maara hai usko pyasa jangal may zaalimon ne
paala tha jisko maa ne chakki chala chala kar
karti hai bain zehra...
bachon ko apne maayein sarwar pe waarti hai
maqtal ko bhejti hai dulha bana bana kar
karti hai bain zehra...
hai jin ke ghar se parda unko nabi ke dushman
dar dar phira rahe hai qaidi bana bana kar
karti hai bain zehra...
ek ghamzada tasavvur may apne laadle ko
lori suna rahi hai jhoola jhula jhula kar
karti hai bain zehra...
ay dayam aur yazdan sarwar ke qatilon ne
dukhiyon ko maar daala paidal chala chala kar
karti hai bain zehra...