Kanz e Aza

Kehti Thi Roke Madar Aajou Run Se Asghar

A noha for Ali Asghar (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Kehti Thi Roke Madar Aajou Run Se Asghar

Tum Bin Jeungi Kyun Kar Aajou Run Se Asghar

1.Khaima Hai Suna Suna Kisku Jhulao Jhula

Aarasta Hai Bistar Aajou Run Se Asghar


2.Nanhe Gaale Pe Tumne Maqtal Me Teer Khaya

Hai Jakm Mere Dil Par Aajou Run Se Asghar


3.Jhule Ke Pass Aakar Nazrou Se Dhudhti Hu

Roti Hai Tumku Khahar Aajou Run Se Asghar


4.Gardan Pe Teer Khakar Kis Tarha Tum Hasse They

Maa Ku Dikhou Haskar Aajou Run Se Asghar