Alvida Alvida Alvida
Haye ghareebul watan aye asiremehan
Alvida alvida alvida
Aye hussain alvida aye hussain alivida
1) Naizo pe sar kat ke haye chadaya gya Ghodo se pamal tan tera karaya gaya
Lut ke sab malozar qaima jalaya gaya Haye gharebul watan aye asiremehan
Alvida alvida alvida
Aye hussain alvida aye hussain alvida
2) hatkadi aur bediya tauqe giraban hai Kitna aseremehan abide bimar hai
Lashkare jauro sitam jane ko tayar hai Haye gharebul watan aye asiremehan
Alvida alvida alvida
Aye hussain alvida aye hussain alvida
3) bandi jafa kar ne hatho me kaskar rasan Kis tarha humsheer dey bhai ko apne kafan
Cheen li sar se rida hogyi bebas behan Haye gharebul watan aye asiremehan
Alvida alvida alvida
Aye hussain alvida aye hussain alvida
4) bali sakina ke jub shimr ne chiney gouhar Khoon baha isqadar hogya sb kurta tar
Kehti thi aou chacha waqte madad hai pidar Haye gharebul watan aye asiremehan
Alvida alvida alvida
Aye hussain alvida aye hussain alvida