beqarar hai maadar haye jal gaya jhoola
haye jal gaya jhoola haye jal gaya jhoola
uski yaad jab aati dekh kar sukoon paati
sabr aayega kyun kar haye jal gaya jhoola
beqaraar hai maadar...
godh ho gayi khaali qatl ho gaya waali
kis se mai kahun jaa kar haye jal gaya jhoola
beqaraar hai maadar...
khoon ban ke sadmon se beh raha hai aankhon se
dil pe chal gaya khanjar haye jal gaya jhoola
beqaraar hai maadar...
kis qadar hai sannata kuch nazar nahi aata
hai dhuaan dhuaan manzar haye jal gaya jhoola
beqaraar hai maadar...
maa ke dil se aankhon tak jiski raakh phaili hai
wo nishani e asghar haye jal gaya jhoola
beqaraar hai maadar...
pehla zakhm ye khaaya wo na laut kar aaya
doosra laga nashtar haye jal gaya jhoola
beqaraar hai maadar...
kaise din guzarungi bas yehi pukarungi
khaak ho gaya bistar haye jal gaya jhoola
beqaraar hai maadar...
bhoolna hai na-mumkin yaad aayega har din
kaise dil karun patthar haye jal gaya jhoola
beqaraar hai maadar...
ay suroor wo muztar bezuban ki turbat par
keh rahi thi ro ro kar haye jal gaya jhoola
beqaraar hai maadar...