boli maa khasta jigar aakhri lori sunlo
ay mere noore nazar aakhri lori sunlo
mera armaan meri jaan meri aas ho tum
apne maa ke liye asghar nahi abbas ho tum
aaj ki raat ghanimat hai mere paas ho tum
ay mere rashke qamar aakhri lori sunlo
boli maa khasta jigar...
sooni kar ke meri godhi mujhe tadpaoge
chod kar roti hui maa ko chale jaoge
aise jaoge ke wapas nahi aaoge
door ka hai ye safar aakhri lori sunlo
boli maa khasta jigar...
meri aaghosh mein ye aakhri shab hai pyare
is tasavvur se mere chalte hai dil par aare
subha beh jayenge ran mein tere khoon ke dhaare
tujhko aayegi qaza aakhri lori sunlo
boli maa khasta jigar...
kal sare dashte bala hoga qayamat ka samaan
tum khuda jaane kahan hoge kahan hogi ye maa
raakh reh jayegi kal aaj ye qaime hai jahan
kal ujad jayega ghar aakhri lori sunlo
boli maa khasta jigar...
keh rahe thay abhi haye shahe karbobala
qatl ho jayegi is dasht mein kal fauje khuda
ay mere laal larazta hai kaleja mera
raat jaaye na guzar aakhri lori sunlo
boli maa khasta jigar...
shadiyano ki sada aane lage hai ran se
suye maidan chale ansaar shahe waala ke
khatm hone ko hai ye raat ke ay laal mere
hone waali hai sehar aakhri lori sunlo
boli maa khasta jigar...
hashr ka lamha tha gohar wo qayamat ki ghadi
karwatein leta tha shehzada tadapta tha kabhi
dard mein doobi hui sun ke sada maadar ki
aagaya waqt e safar aakhri lori sunlo
boli maa khasta jigar...