Kanz e Aza

Bezaban Tadpa

A noha for Ali Asghar (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

bezaban tadpa jo kha ke teer e sitam ran may

zameen kaamp uthi ro ke aasman tadpa


wahan wahan pe zameen ran ki laala zaar bani

jahan jahan pe shahe deen ka naujawan tadpa

bezaban tadpa jo…


jahan jahan pe tamache lage sakina ko

sar e hussain sina par wahan wahan tadpa

bezaban tadpa jo…


sawaal e aab ka kya khoob ye jawab mila

jo has raha tha wo masoom bezaban tadpa

bezaban tadpa jo…


haram ko leke ye naaqe kidhar se ho ke chale

ke ahle bayt e mohamad ka saarban tadpa

bezaban tadpa jo…


kamal e sabr bhi tha had ki natawani bhi

ke taziyana laga aur na natawan tadpa

bezaban tadpa jo…