Kanz e Aza

Bhai Bhai pukaarti rahi mai

A noha for Imam Hussain (a.s) (2017). Lyrics in Roman Urdu.

Bhai bhai pukarti rahi mai

Amma meri amma..(3)

amma, amma

amma ruka na shimr e laee'n mere bayn se

sattar(70) qadam thi door ye zainab hussain se


bhai bhai pukarti rahi mai phir bhi khanjar nahi ruka amma


shimr ne ki phir aisi ghustakhi..(2)

mujhse dekha nahi gaya amma


bhai bhai pukarti rahi mai phir bhi khanjar nahi ruka amma


1. Tum jo zulfe sawara karti thi

unhi zulfo mein haath tha uska

jaha'n bose diye the nana ne

usi gardan se khoo'n tapakta tha

sare shabbir yu uthaye hue

shimr khaime tak aagaya amma


bhai bhai pukarti rahi mai phir bhi khanjar nahi ruka amma


2. Dekh kar mujhko bayn karte hue

shimr har baar muskarata raha

meri nazro ke saamne zalim

waar ginkar churi chalata raha

haye 13 zarbe thi kund khanjar tha aur shabbir ka gala amma


bhai bhai pukarti rahi mai phir bhi khanjar nahi ruka amma


3. Charo janib se gher rakha tha

tere noore nazar ko lashkar ne

teer barsata tha koi uspar

koi patthar se maarta tha use

haye ret zakhmo pe wo girata raha

jisko patthar nahi mila amma


bhai bhai pukarti rahi mai phir bhi khanjar nahi ruka amma


4. Tegh jis dum koi chali uspar

haye abbas kehke roya tha

teer peshani pe laga jis dum

haye asghar zabaa'n pe aaya tha

haye akbar pukara duniya ne

jab bhi neza koi laga amma


bhai bhai pukarti rahi mai phir bhi khanjar nahi ruka amma


5. Haye jab chalaya tha shimr ne khanjar

maine aanko'n se apni dekha tha

haath apne uthake pehlu se

tune sukhe gale pe rakha tha

ungliya'n zakhmi hogayi hongi

haath mujhse to naa chupa amma


bhai bhai pukarti rahi mai phir bhi khanjar nahi ruka amma


6. Aisi nafrat thi unke seeno mein

ye bhi socha na shaam walo ne

deen e islam mein zabiha tak

zibha pyaase nahi kiye jaate

haye teen din se hussain pyaasa hai

ye bhi socha nahi gaya amma


bhai bhai pukarti rahi mai phir bhi khanjar nahi ruka amma


7. Maa ye zainab se kehti thi 'akbar'

meri aaghosh mein tha sar uska

maine gardan ko katte dekha tha

maine saanso ko rukte dekha tha

haye aakhri baar zere khanjar bhi

maine shabbir se suna amma


bhai bhai pukarti rahi mai phir bhi khanjar nahi ruka amma