Bibi masooma e qum
Ek bacchi Jo thi moosiye kaazim ke dilka chayn, Har eid pe karti thi musalle pe jaake bayn
1) Karthi hai rabse dua , ay shahe uqda kusha (haaye baba jaan ), Abke baras eid pe , aaiye behre khuda , Baap kabhi bêtise hote nahi yu juda - (2)
Bibi masooma- e - qum ka tha ye nouha , Kya abke baras aaoge baba
2) 14 baras aapke qaide sitam me Kate (haaye baba jaan)
Qaid bhi aisi jahan aap rukoo me rahe , Aur yahan mere lab maaile fariyad the - (2)
My yahan aap wahan karte hai nouha.....
Kya abke baras aaoge baba
3) Logo se maine suna aisi hai qaide jafa (haaye baba jaan) , Gairo ke zanjeer bhi padthi rahe marsiya , Waqt ki zanjeer ne qaid mujhe bhi kiya - (2) , Maine paigaam hawavon se ye bheja......
Kya abke baras aaoge baba
4) Qaid ki taarikiyaa'n qaid ke tanhaiyaa'n (haaye baba jaan) , Meri tarha raat din karti hai tum par fugha'n , Dono hai zindaan me Aap wahan mai yaha'n-(2), Ye batao ke mujhe dene dilasa...
Kya abke baras aaoge baba
5) Uth gaya tera padar maine suni jab khabar (haaye baba jaan)
Tooti umeedein meri qalb hua nouha gar , Kohe sitam gir pada dukhtare mazloom par -(2) , Rehgaya phir bhi fazavon me ye nouha....
Kya abke baras aaoge baba
6) Tang hai mujh par zameen zapt ka yaara nahi ( haaye baba jaan )
Aur ye furqat ka gum aur ye qalbe hazee , Aap nahi aayenge kya mai ye karlu yaqee -(2)
Nouha din raat yahi karti hoon baba...
Kya abke baras aaoge baba..
7) Zakhmi kaleja mera karta rahega buka (haaye baba jaan)
Ab to chale aaiye aagayi sar par qaza , Zebe musalla hu mai sunlo meri ilteja -(2) , Baba bin aapke bekaar hai jeena...
Kya ab ke baras aaoge baba..
8) Bibi ka ye marsiya mazhar-o-irfan ka , Gum ye kisi beti ko ab na dikhaye khuda , Maine sahe hai jo gum jaanta hai dil mera -(2) , Ek misra hai masayib ka sahifa....
Kya abke baras aaoge baba
Bibi masooma - e - qum ka tha ye nouha
Kya abke baras aaoge baba -(3)...