Bikhre pade hai laashe aulaade murtaza ke
Zainab ujad gayi hai karbobala me aake
Paamaal kar diya hai lashkar ne jisme qaasim
Shabbir chun rahe hai tukde aba bichaake
Haatho'n se dil ko thaame doude hai shaah ran ko
Shaayad gire hai akber barchi jigar pa khaake
Abbas tum kahaa'n ko mazloom ko sambhaalo
Shabbir thak chuke hai laashe utha utha ke
Bhoole gi kaise maadar asghar ka teer khaana
chup chaap ro rahi hai jhoole se sar lagaake
dam todte hai asghar ae naama bar teherja
ab kya milega tujh ko soughra ka khat sunaake